Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

yaa jiilaanii shai.in lillaah yaa jiilaanii shai.in lillaah

Maulana Abdul Qadeer Hasrat

MORE BYMaulana Abdul Qadeer Hasrat

    Interesting Fact

    منقبت در شان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)

    yaa jiilaanii shai.in lillaah yaa jiilaanii shai.in lillaah

    yaa jiilaanii shai.in lillaah al-madad be-iznillaah

    aap kaa ho kar haal-e-tabaah aa.o madad ko shaahanshaah

    chillaataa huu.n shaam-o-pagaah yaa jiilaanii shai.in lillaah

    ek taraf shaitaan mariid ek taraf ye nafs paliid

    mujh ko nahii.n hai kuchh ummiid tere sivaa ai 'aalii-jaah

    kab tak ho ye aah-o-bukaa mere maraz kii kar de davaa

    ek nazar mere maulaa haal miraa hai saKHt tabaah

    ho na madad me.n kuchh taaKHiir dushman hai.n barnaa-o-piir

    kiijiye madad yaa dastgiir Gaus-e-aa'zam shaahanshaah

    mai.n huu.n buraa par teraa huu.n huu.n rusvaa par teraa huu.n

    huu.n kyaa kyaa par teraa huu.n teraa huu.n de mujh ko panaah

    kichh bhi nahii.n mujh mai.n taqvaa sab se barraa hau.n sab se barraa

    tuu achchhaa hai tuu achchhaa 'abdul-qaadir shaahanshaah

    mere dil me.n himat ho duur ye saarii kulfat ho

    'izzat ho aur hurmat ho paa.uu.n muraade.n KHaatir-KHvaah

    aap kii chashm-e-'inaayat ho haal me.n mere rahmat ho

    aap to shaan-e-'azmat hai.n baadshah-e-baa-takHat-o-kulaah

    maanaa hai ye sab se haqiir 'hasrat'-e-'aajiz par taqsiir

    tere dar kaa par hai faqiir yaa jiilaanii shai.in lillaah

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now