mere KHudaa tu mujhe bhiik de kariim hai tuu

gunaahgaar huu.n mai.n baKHsh de rahiim hai tuu
karuu.n savaal na tujh se to aur kis se kahuu.n
KHudaa hai tuu miraa maalik hai tuu rahiim hai tuu
tujhii ko sharm hai merii tiraa hii banda huu.n
kabhii to rahm tujhe aa.egaa rahiim hai tuu
KHudaa se merii sifaarish kar ai habiib-e-KHudaa
tiraa KHudaa hai rahiim ai nabii kariim hai tuu
tuu us kaa shukr kiye jaa vo aap de degaa
kariim se kabhii kahte nahii.n kariim hai tuu
KHudaa se maa.ngnaa aataa nahii.n tujhe 'akbar'
savaal karataa hai us se ba.Daa la.iim hai tuu

- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 85)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.