ab raqam karataa huu.n na.at-e-mustafaa
ab raqam karataa huu.n na.at-e-mustafaa
jis se 'aalam ko hu.ii haasil safaa
sayyad-e-kaunain kHatam-ul-mursaliin
daur-e-aaKHir me.n hai fakHr-ul-avvaliin
tai jo kii me.araaj me.n raah-e-samaa
kyuu.n na ho.n mohtaaj us ke ambiyaa
hai vo be-shak rahmatul-lil'aalamiin
us kii masjid hai ye sab ruu-e-zamii.n
rahmat-e-KHallaaq-e-KHurshiid-o-qamar
hove naazil us kii aal-e-paak par
jis kii u.nglii se hu.aa shaqqal-qamar
yaar the us ke abuu-bakr-o-’omer
ek to us kaa rafiiq-e-Gaar thaa
duusraa lashkar kash-e-abraar thaa
the musaahib us ke 'usmaan-o-'alii
jo ki hai.n mash.huur 'aalam me.n valii
ek jo kaan-e-hayaa-o-hilm thaa
duusraa to baab shahar-e-'ilm thaa
vo rasuul-e-haq ki kHair-unnaas thaa
hamza-o-'abbaas the us ke chachaa
bhejtaa huu.n sau daruud-o-sau salaam
aal-o-ashaab-e-nabii par sub.h-o-shaam
ab raqam karataa huu.n na.at-e-mustafaa
jis se 'aalam ko hu.ii haasil safaa
sayyad-e-kaunain kHatam-ul-mursaliin
daur-e-aaKHir me.n hai fakHr-ul-avvaliin
tai jo kii me.araaj me.n raah-e-samaa
kyuu.n na ho.n mohtaaj us ke ambiyaa
hai vo be-shak rahmatul-lil'aalamiin
us kii masjid hai ye sab ruu-e-zamii.n
rahmat-e-KHallaaq-e-KHurshiid-o-qamar
hove naazil us kii aal-e-paak par
jis kii u.nglii se hu.aa shaqqal-qamar
yaar the us ke abuu-bakr-o-’omer
ek to us kaa rafiiq-e-Gaar thaa
duusraa lashkar kash-e-abraar thaa
the musaahib us ke 'usmaan-o-'alii
jo ki hai.n mash.huur 'aalam me.n valii
ek jo kaan-e-hayaa-o-hilm thaa
duusraa to baab shahar-e-'ilm thaa
vo rasuul-e-haq ki kHair-unnaas thaa
hamza-o-'abbaas the us ke chachaa
bhejtaa huu.n sau daruud-o-sau salaam
aal-o-ashaab-e-nabii par sub.h-o-shaam
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 49)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.