Sufinama

KHudaa rakhegaa hamesha ye aashiyaana ba-KHair

Moeen Nizami

MORE BYMoeen Nizami

    KHudaa rakhegaa hamesha ye aashiyaana ba-KHair

    hamaare qibla-e-aalam kaa aastaana ba-KHair

    KHudaa kare ke dilo.n ko ye chog miltii rahe

    rahe ye mehr-o-mohabbat kaa aab-o-daana ba-KHair

    mahaar-e-paak me.n jaarii samaa'-o-raqs rahe

    suruud-o-kaif kaa vajd aafrii.n taraana ba-KHair

    mah-o-sitaara vahaa.n sar jhukaa ke kahte hai.n

    tirii zamiin salaamat tiraa zamaana ba-KHair

    mai.n is baras bhii asiir-e-Gam-e-zamaana rahaa

    qubuul-e-uzr kii ummiid hai bahaana ba-KHair

    agarche zauq-e-huzuurii nasiib ho na sakaa

    KHudaa kaa shukr ki hai shauq-e-Gaa.ebaana ba-KHair

    kisii ne mujh ko dilaase me.n ye bashaarat dii

    pasand aa ga.ii mad.h-e-qalandaraana ba-KHair

    Source :
    • Book : Subhe Bara'n (Pg. 4)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now