Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mohabbat-aafrii.n kis kaa bayaa.n hai

Raqim Dehlvi

mohabbat-aafrii.n kis kaa bayaa.n hai

Raqim Dehlvi

MORE BYRaqim Dehlvi

    mohabbat-aafrii.n kis kaa bayaa.n hai

    KHudaa sun sun ke mahv-e-daastaa.n hai

    mohammad kii likhe kiyaa vasf ko.ii

    zabaan-e-kilk kii qudrat kahaa.n hai

    taqaazaa-e-do-aalam mustafaa hai

    tamanna-e-KHudaa-e-do-jahaa.n hai

    nihaad-e-paak-o-zaat-e-KHaas yazdaa.n

    giraamii naam-o-vaalaa duud-maa.n hai

    ki jis kii zaat se vahdat numaayaa.n

    saraapaa jalva-e-qudrat ayaa.n hai

    vahii qudrat kaa naqsh-e-avvalii.n hai

    vahii vahdat kaa pahlaa imtihaa.n hai

    KHudaa us me.n KHudaa me.n vo bahar-ra.ng

    chaman me.n gul hai gul me.n buu nihaa.n hai

    nabii aur vo nabii ya.anii mohammad

    shafii-e-KHaak-saaraan-e-jahaa.n hai

    muhiit-e-zaat se jo qatra niklaa

    vahii qatra ye bahr-e-be-karaa.n hai

    mohammad par fidaa hai jaan-e-aalam

    ki mahbuub-e-KHudaa-e-do-jahaa.n hai

    na mai.n jaanuu.n na mai.n samjhuu.n kisii ko

    mohammad hii mohammad hai jahaa.n hai

    taqaazaa kam nahii.n dekho na dekho

    ye 'raaqim' naqsh-e-sa.ng-aastaa.n hai

    mohabbat-aafrii.n kis kaa bayaa.n hai

    KHudaa sun sun ke mahv-e-daastaa.n hai

    mohammad kii likhe kiyaa vasf ko.ii

    zabaan-e-kilk kii qudrat kahaa.n hai

    taqaazaa-e-do-aalam mustafaa hai

    tamanna-e-KHudaa-e-do-jahaa.n hai

    nihaad-e-paak-o-zaat-e-KHaas yazdaa.n

    giraamii naam-o-vaalaa duud-maa.n hai

    ki jis kii zaat se vahdat numaayaa.n

    saraapaa jalva-e-qudrat ayaa.n hai

    vahii qudrat kaa naqsh-e-avvalii.n hai

    vahii vahdat kaa pahlaa imtihaa.n hai

    KHudaa us me.n KHudaa me.n vo bahar-ra.ng

    chaman me.n gul hai gul me.n buu nihaa.n hai

    nabii aur vo nabii ya.anii mohammad

    shafii-e-KHaak-saaraan-e-jahaa.n hai

    muhiit-e-zaat se jo qatra niklaa

    vahii qatra ye bahr-e-be-karaa.n hai

    mohammad par fidaa hai jaan-e-aalam

    ki mahbuub-e-KHudaa-e-do-jahaa.n hai

    na mai.n jaanuu.n na mai.n samjhuu.n kisii ko

    mohammad hii mohammad hai jahaa.n hai

    taqaazaa kam nahii.n dekho na dekho

    ye 'raaqim' naqsh-e-sa.ng-aastaa.n hai

    Source :
    • Book : Muraqqa'-e-Na'at (Pg. 16)
    • Author : Raqim Dehlavi
    • Publication : Nizam-ul-Matabe, Hyderabad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now