mohammad idhar bhii zaraa dekhnaa
mohammad idhar bhii zaraa dekhnaa
hame.n bhii au nuur-e-KHudaa dekhnaa
hamaare dil-o-jaa.n ki jaan-e-jahaa.n
bataa do tum hii tum ko kyaa dekhnaa
masiihaa masiihaa ke jaano.n kii jaa.n
ye kushto.n ko apne zaraa dekhnaa
nikaltaa hai dam hasrat-e-diid me.n
hame.n ab au dil kii davaa dekhnaa
tumhe.n dekhne ko taraste hai.n ham
hai muztar dil-e-mubtalaa dekhnaa
nigaah-e-karam se hame.n dekh kar
hamaaraa ye phir dekhnaa dekhnaa
dil-o-dii.n tumhaare havaale hai.n sab
buro.n ko karam se bhalaa dekhnaa
KHudaa ke sivaa aur tumhaare sivaa
kise dekhnaa aur kyaa dekhnaa
sukuun-e-jigar hai suruur-e-nazar
jamaal-e-mohammad zaraa dekhnaa
hai bulbul kaa jiinaa gulo.n se magar
mirii zindagii aap kaa dekhnaa
sag-e-dar hai 'Gausii' huzuur aap kaa
ise pyaar se dekhnaa dekhnaa
mohammad idhar bhii zaraa dekhnaa
hame.n bhii au nuur-e-KHudaa dekhnaa
hamaare dil-o-jaa.n ki jaan-e-jahaa.n
bataa do tum hii tum ko kyaa dekhnaa
masiihaa masiihaa ke jaano.n kii jaa.n
ye kushto.n ko apne zaraa dekhnaa
nikaltaa hai dam hasrat-e-diid me.n
hame.n ab au dil kii davaa dekhnaa
tumhe.n dekhne ko taraste hai.n ham
hai muztar dil-e-mubtalaa dekhnaa
nigaah-e-karam se hame.n dekh kar
hamaaraa ye phir dekhnaa dekhnaa
dil-o-dii.n tumhaare havaale hai.n sab
buro.n ko karam se bhalaa dekhnaa
KHudaa ke sivaa aur tumhaare sivaa
kise dekhnaa aur kyaa dekhnaa
sukuun-e-jigar hai suruur-e-nazar
jamaal-e-mohammad zaraa dekhnaa
hai bulbul kaa jiinaa gulo.n se magar
mirii zindagii aap kaa dekhnaa
sag-e-dar hai 'Gausii' huzuur aap kaa
ise pyaar se dekhnaa dekhnaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.