mohammad kamlii vaale ko KHudaa se khelte dekhaa
KHaliilullaah ko aatish-fishaa.n se khelte dekhaa
zabiihullaah ko haq kii razaa se khelte dekhaa
kaliim-ullaah ko innii anaa se khelte dekhaa
haliima ko mohammad mustafaa se khelte dekhaa

janaab ayyuub ko sabr-o-razaa se khelte dekhaa
lab-e-mansuur ko haq kii sadaa se khelte dekhaa
pashemaanii-e-aadam ko du'aa se khelte dekhaa
valii-o-ambiyaa ko har balaa se khelte dekhaa
mohammad ke navaaso.n ko qazaa se khelte dekhaa
mohammad kii savaarii jab ki sidrat-ul-muntahaa pahu.nchii
to ummat ke ma’aasii ke liye pesh ik 'arzii
mu.aafiq me.n nabii ke jab KHudaa ne puurii har zid kii
ba-juz pyaare nabii ke ye faziilat aur kis ko thii
mohammad ko shab-e-asraa KHudaa se khelte dekhaa

vo burraaq jis pe pa.Dii thii jul
thaa liye hu.e vo suruur mul
cha.Dhe us pe aa ke shah-e-rusul
to u.Daa vo suurat-e-buu-e-gul
kyaa tai jo us ne havaa kaa pul
to falak pe bajne lage duhul
the farishte shah ke jalu me.n kul
thaa haTo ba.Dho kii 'evaz ye Gul

sunaa.e.n aaj ham tum ko shab-e-me'araaj kaa qissa
'arsh ke nazdiik pahu.nche jab shah-e-har-dosraa
aur chaahaa ki kare.n naa'lain paa.nv se judaa
yak-ba-yak vahdat ke parde se lagii aane nidaa
kyuu.n ruke aa.o maa'hu naa'lain-e-ahmad-e-mustafaa
kaa.nptaa hai 'arsh dekho taalib-e-naa'lain hai
chuum lene do use naa'lain ye be-chain hai
tab kahaa hazrat ne haq se ai mire parvardigaar
tere is lutf-o-karam par meraa jaan-o-dil nisaar
hukm muusaa ko hu.aa thaa tuur par ki hoshiyaar
mere jalvo.n kaa adab kar paa.nv se naa'lain utaar
aur mujh pe ye karam teraa KHudaa-e-bahr-o-bar
tuu ne bulvaayaa mujhe naa'lain pahu.nche 'arsh par
phir nidaa aa.ii zaraa is baat par bhii Gaur ho
tum kahaa.n muusaa kahaa.n vo aur the tum aur ho
vo nabii the yaa mohammad tum hamaare nuur ho
baat kal kii bhuulte ho KHud charaaG-e-tuur par
tum pe sadqe yuusuf-o-yaa'quub balki har nabii
vo faqat taalib the tum taalib bhii ho matluub bhii

jis gha.Dii vo laal sa.ng-e-zulam se to.Daa gayaa
yaa'nii is ke halaq par ik KHanjar-e-burraa.n chalaa
ik kabuutar lauT kar un ke lahuu me.n a.D gayaa
jaa ke gumbad par rasuulullaah ke kahne lagaa
yaa mohammad karbalaa me.n luuTaa bechaara gayaa
aap kaa pyaaraa navaasaa sajde me.n maaraa gayaa
jis jagah lete the bose tum habiib-e-kirdgaar
us jagah zaalim ne pheraa KHanjar-e-KHuu.n aab-daar

haakim kaa hukm ye hai ki paanii bashar piye.n
gho.De piye.n savaar piye.n jaanvar piye.n
kaafir talak piye.n to mana' tuu na kiijiyo
ik faatima ke laal ko paanii na diijiyo
us ne haq karbalaa me.n adaa kar diyaa
apne naanaa kaa vaa'da vafaa kar diyaa
ghar ke ghar ko supurd-e-qazaa kar diyaa
sab kuchh ummat kii KHaatir fidaa kar diyaa
haaye vo shakl-e-nuurii miTaa.ii ga.ii
pyaas tiiro.n se jis kii bujhaa.ii ga.ii
sirf chhe maah kii 'umr paa.ii ga.ii
naam thaa jis kaa mash.huur qaasim banaa
us kii shaadii kaa armaan dil me.n rahaa
us ke sar par shahaadat kaa sahraa bandhaa
jum.a kaa roz thaa yaaro dopahar Dhaltii thii
chhurii husain ke pyaase gale pe chaltii thii

- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 149)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.