suKHan ko rutba milaa hai mirii zabaa.n ke liye

zabaa.n milii hai mujhe naa't ke bayaa.n ke liye
zamii.n banaa.ii ga.ii kis ke aastaa.n ke liye
ki laa-makaa.n bhii uThaa sarv-e-qadd-e-makaa.n ke liye
tire zamaane ke baa'is zamii.n kii raunaq hai
milaa zamiin ko rutba tire zamaa.n ke liye
kamaal apnaa diyaa tere badr-e-'aariz ko
kalaam apnaa utaaraa tirii zabaa.n ke liye
nabii hai naar tire dushmano.n ke jalne ko
bahisht-e-vaqf tire ’aish-e-jaavedaa.n ke liye
thii kHush-nasiibii-e-'arsh-e-barii.n shab-e-me'araaj
ki apne sar pe qadam shaah-e-mursilaa.n ke liye
na dii kabhii tire 'aariz ko mehr se tashbiih
rahaa ye daaG qayaamat tak aasmaa.n ke liye
'ajab nahii.n jo kahe tere farsh ko ko.ii 'arsh
ki laa-makaa.n kaa sharf hai tire makaa.n ke liye
KHudaa ke saamne 'mohsin' pa.Dhuu.ngaa vasf-e-nabii
saje hai.n jhaa.D ye baato.n ke laa-makaa.n ke liye

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.