allaah ne tauqiir ba.Dhaa.ii tire dar kii

taabaanii-e-firdaus fidaa.ii tire dar kii
aalaa.ish-e-duniyaa-e-jihaalat hu.ii naa-buud
jab dil ne kii tasviir-kushaa.ii tire dar kii
man zaar se 'uqda ye khulaa ahl-e-jahaa.n par
zaamin hai mu’aafii kii rasaa.ii tire dar kii
allaah re kyaa shaan-o-sharaf hurmat-o-’azmat
jibriil bhii kartaa hai gadaa.ii tire dar kii
qur.aa.n me.n rafa'naa-laka-zikrak se 'ayaa.n hai
allaah bhii kartaa hai ba.Daa.ii tire dar kii
haalaat hai.n aise ki bataane ke nahii.n hai.n
aaqaa-e-karam bas hai duhaa.ii tire dar kii
allaah ne jannat se hasii.n-tar kiyaa us ko
sad-rashk mah-o-mehr hai raa.ii tire dar kii
ik aarzu-e-qalb-e-hazii.n had se sivaa hai
palko.n se ho jaruub-kushaa.ii tire dar kii
sad naaz-o-ba-sad 'ijz kiyaa karte hai.n aaqaa
duniyaa ke shahanshaah gadaa.ii tire dar kii
ai paikar-e-altaaf-o-’inaayaat shahanshaah
qismat ho mirii naGma-saraa.ii tire dar kii
taa-'umr rahuu.n shaah mai.n taqdiir pe naazaa.n
ho jaa.e agar mujh ko rasaa.ii tire dar kii
jo pahu.nchaa hai 'aashiq tirii sarkaar me.n us ko
bardaasht nahii.n hogii judaa.ii tire dar kii
shaamil na ho jis siina-e-viiraa.n me.n tiraa 'ishq
KHushbuu bhii kabhii us ne na paa.ii tire dar kii
mahtaab-e-zamaana bhii munavvar hai usii se
be-shak hai jahaa.n jalva-numaa.ii tire dar kii
aaqaa mujhe duniyaa se sarokaar nahii.n hai
tanviir kuchh is taur samaa.ii tire dar kii
duniyaa-e-talab kaa tuu shahanshaah-e-yagaana
ashyaa-e-jahaa.n saarii ’ataa.ii tire dar kii
shaaho.n se fuzuu.n-tar hu.ii us shaKHs kii 'azmat
thii jis ke muqaddar me.n gadaa.ii tire dar kii
aaqaa yahii hasrat hai buhaare tiraa kuucha
'aasif' kare palko.n se safaa.ii tire dar kii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.