haram huzuur kaa baaG-e-iram huzuur kaa hai

Muhammad Aasif Noori
MORE BYMuhammad Aasif Noori
haram huzuur kaa baaG-e-iram huzuur kaa hai
har ek zarra pe lutf-o-karam huzuur kaa hai
hai kis kii zaat zamaane me.n afzal-o-'aalaa
hai kis kaa naam ba.Daa mohtaram huzuur kaa hai
kHudaa-e-kul kaa kiyaa un ko maalik-o-muKHtaar
jahaan-e-hast kaa har zer-o-bam huzuur kaa
baGair un kii ijaazat na lab-kushaa.ii ho
har ek sar hu.aa jis dar pe KHam huzuur kaa hai
jahaa.n pe aate hai.n qudsii juluus kii suurat
vo kis kaa dar hai dar-e-mohtaram huzuur kaa hai
har ik zamaana hu.aa faizyaab jis dar se
dayaar-e-paak vo rashk-e-iram huzuur kaa hai
rasaa.ii sidra se aage na jibriil kii
KHudaa ke 'arsh ke uupar qadam huzuur kaa hai
ba-roz-e-hashr shafaa'at ko bas ye kaafii hai
hamaare siine me.n raasiKH jo Gam huzuur kaa hai
vo jis ke sadqe me.n rab ne 'ataa kii hariyaalii
bahaar-o-gulshan-o-gul par karam huzuur kaa hai
saliiqa mujh me.n zaraa bhii nahii.n hai mid.hat kaa
ye she'r-o-shaa'irii sab kuchh karam huzuur kaa hai
hamaaraa naqsh-e-kaf-e-paa nahii.n hai miTTii me.n
hajar falak pe nishaan-e-qadam huzuur kaa hai
'ataa-e-baarii taa'laa ki 'ain-e-rahm-o-karam
kHayaal-e-ummat-e-'aasii pe nam huzuur kaa hai
kare.nge daaKHila jannat me.n ham se 'aasii kaa
ba-roz-e-hashr ye lutf-e-'aam huzuur kaa hai
nahii.n hai un saa ko.ii baadshaah duniyaa me.n
tamaam KHalaq pe zill-e-karam huzuur kaa hai
kHuluus-o-pyaar-o-vafaa ke vo aise paikar hai.n
ko.ii na kah sakaa mujh par sitam huzuur kaa hai
jahaa.n me.n kare.n taKHsiis kyuu.n kisii kii jab
Gulaam jo bhii hai vo muhtshim huzuur kaa hai
jhukaa sakaa na jhukaa paa.egaa kabhii ko.ii
bulandiyo.n kaa manaara-e-'alam huzuur kaa hai
miraa Thikaana jahannam thaa par huu.n jannat me.n
karam ye kis kaa shafii'-ul-umam huzuur kaa
shu.uur-o-fikr zaraa bhii nahii.n mire andar
ye mad.h-go.ii 'ataa-o-karam huzuur kaa hai
madiina dekhne vaale kahe.nge jannat me.n
hasiin-e-kHuld se behtar haram huzuur kaa hai
kamaal-o-vasf KHudaa ne 'ataa kiyaa un ko
har ek vasaf vo vasaf-e-atam huzuur kaa hai
KHudaa ne baKHshii hidaayat kii be-bahaa taufiiq
par us me.n kaamil-o-akmal karam huzuur kaa hai
taKHaiyyulaat ko shaffaaf kar le ai 'aasif'
tuu karne vaalaa qasiida raqam huzuur kaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.