masarrat-kesh vo gaam apnii zindagii me.n hai

Muhammad Aasif Noori
MORE BYMuhammad Aasif Noori
masarrat-kesh vo gaam apnii zindagii me.n hai
shahanshaah-e-do-’aalam ke jo ’ishq-o-aagahii me.n hai
munavvar hai mashaam-e-zindagii tanviir se jin ke
mahak un ke pasiine kii chaman kii har kalii me.n hai
gulistaan-e-jahaa.n kiyaa gulshan-e-jannat hai shaidaa.ii
kuchh aisii shabnamii-o-lutf-e-gesuu-e-nabii me.n hai
mataa’-e-’ishq-e-sarvar daakHil-e-qalb-o-nazar kar lo
tilismii irtiqaa-e-diin-o-duniyaa bas isii me.n hai
kahaa.n to Dhuu.nDne niklaa hai suu-e-raaGib-o-jogii
are naadaa.n zafar-yaabii kamaal-e-bandagii me.n hai
nikaalaa chiir kar rasta talaatum-KHez dariyaa se
ai fir’auniyo vo taaqat ’asaa-e-muusavii me.n hai
bahaar-e-baaG-e-jannat me.n kahaa.n lutf-o-suruur aisaa
jo sarkaar-e-do-'aalam ke mohalle aur galii me.n hai
tapish roz-e-jazaa kii kis tarah jhulsaa sake jis ko
ridaa-e-saahib-e-laulaak kii jo chhaavnii me.n hai
yaziid-e-vaqt ab ko.ii bachaa sakta nahii.n tujh ko
qazaa marquum terii zulfiqaar-e-haidarii me.n hai
bhulaa kar aap-biitii rishta-e-dil jo.Diye dil se
KHasaara hii KHasaara iKHtilaaf-e-baahamii me.n hai
'ibaadat kar riyaazat kar itaa'at dil-e-‘aasif’
sukuun-o-aashtii-e-dil KHudaa kii bandagii me.n hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.