al-hamdu faatiha hai qur.aan-e-kariim kaa

Muhammad Ibrahim Siddiqui
MORE BYMuhammad Ibrahim Siddiqui
al-hamdu faatiha hai qur.aan-e-kariim kaa
laa rab varaq hai alif laam miim kaa
jab se liyaa hai naam KHudaa-e-rahiim kaa
KHatra nahii.n rahaa mujhe dozakH-o-jahiim kaa
kaise karuu.n mai.n shukr Gafuur-o-rahiim kaa
'irfaan mujhe baKHshaa rasuul-e-kariim kaa
banda huu.n kis kaa banda huu.n rabb-e-kariim kaa
yaa'nii shafii-e'-hashr ra.uufur-rahiim kaa
mujhe kuu pata hai KHauf nahii.n hai jahiim kaa
hogaa jo faisla mere haq me.n kariim kaa
us naa't-e-tamaam-e-paa ’azmat hai gavaah
mujhe kuu shu’uur-e-raah-e-mustaqiim kaa
har zarra hai jahaa.n kaa 'aks-e-vujuud-e-zaat
haadis bataa rahaa hai pata kyaa qadiim kaa
sadqa huzuur-e-paak kaa anjaam ho baGair
'aalam ba.Daa hii saKHt hai ummiid-o-biim kaa
har be-KHabar kii rahtii hai har-pal na.e KHabar
banda ye 'KHushtar' aise kHabiir-o-’aliim kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.