mujh pe bhii chashm-e-karam ai mire aaqaa karnaa

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
mujh pe bhii chashm-e-karam ai mire aaqaa karnaa
haq to meraa bhii hai rahmat kaa taqaaza karnaa
mai.n ki zarra huu.n mujhe vus'at-e-sahraa de-de
ki tire bas me.n hai qatre ko bhii dariyaa karnaa
mai.n huu.n bekas teraa sheva hai sahaaraa denaa
mai.n huu.n biimaar teraa kaam hai achchhaa karnaa
tuu kisii ko bhii uThaataa nahii.n apne dar se
ki tirii shaan ke shaayaa.n nahii.n aisaa karnaa
tere sadqe vo usii ra.ng me.n KHud hii Duubaa
jis ne jis ra.ng me.n chaahaa mujhe rusvaa karnaa
ye tiraa kaam hai ai aamna ke durr-e-yatiim
saarii ummat kii shafaa'at tan-e-tanhaa karnaa
aal-o-ashaab kii sunnat miraa me'yaar-e-vafaa
tirii chaahat ke 'evaz jaan kaa saudaa karnaa
shaamil-e-maqsad-e-taKHliiq ye pahluu bhii rahaa
bazm-e-aalam ko sajaa kar teraa charchaa karnaa
mujh pe mahshar me.n 'nasiir' un kii nazar pa.D hii ga.ii
kahne vaale use kahte hai.n KHudaa kaa karnaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.