na kahii.n se duur hai.n manzile.n na ko.ii qariib kii baat hai

Munawwar Badayuni
MORE BYMunawwar Badayuni
na kahii.n se duur hai.n manzile.n na ko.ii qariib kii baat hai
jise chaahe.n us ko navaaz de.n ye dar-e-habiib kii baat hai
jise chaahaa dar pe bulaa liyaa jise chaahaa apnaa banaa liyaa
ye ba.De karam ke hai.n faisle ye ba.De nasiib kii baat hai
vo KHudaa nahii.n ba-KHudaa nahii.n vo magar KHudaa se judaa nahii.n
vo hai.n kyaa magar vo hai.n kyaa nahii.n ye muhibb-e-habiib kii baat hai
vo machal ke raah me.n rah ga.ii ye ta.Dap ke dar se lipaT ga.ii
vo kisii amiir kii aah thii ye kisii Gariib kii baat hai
tujhe ai ‘munavvar-e-be-navaa dar-e-shah se chaahiye aur kyaa
jo nasiib ho kabhii saamnaa to ba.De nasiib kii baat hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.