Sufinama

dil se aaqaa kii ho tauqiir to ho jaatii hai na.at

Mushahid Rizvi

MORE BYMushahid Rizvi

    dil se aaqaa kii ho tauqiir to ho jaatii hai na.at

    ho KHayaalaat me.n tathiir to ho jaatii hai na.at

    daras-gah-e-na.at kii laaraib hai qur.aan-e-aziim

    paa.e.n qur.aan se tanviir to ho jaatii hai na.at

    sirf alfaaz-o-ma.aanii se nahii.n kuchh haasil

    jab amal kii bhii ho taasiir to ho jaatii hai na.at

    mus.haf-e-ruu-e-payambar kii har ek aayat kii

    ko.ii karataa hai jo tafsiir to ho jaatii hai na.at

    ranj-o-aalaam ke tuufaano.n se bachne ke liye

    dil se ho naala-e-shabgiir to ho jaatii hai na.at

    big.De haalaat pe aaqaa ke tasavvur ke tufail

    jagmagaa uThtii hai taqdiir to ho jaatii hai na.at

    un kii mid.hat ke iraade me.n mushaahid 'rizvii'

    harf karte rahe.n tahriir to ho jaatii hai na.at

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now