KHudaa ke nuur se raushan hu.aa hai do-jahaa.n be-shak

Mustafa Ghazali
MORE BYMustafa Ghazali
KHudaa ke nuur se raushan hu.aa hai do-jahaa.n be-shak
ki us ke mo'tarif hai.n ye zamiin-o-aasmaa.n be-shak
bayaa.n karte hai.n sab jinn-o-bashar hamd-o-sanaa rab kii
tamaam ashyaa-e-’aalam hai.n usii kii tarjumaa.n be-shak
sitaare chaa.nd suuraj sab KHudaa ke hukm ke taabe'
usii kii hamd kartii hai falak par kahkashaa.n be-shak
havaa baadal ghaTaa bijlii samundar jhiil aur jharne
sabhii par munkashif karte rahe rab ke nishaa.n be-shak
KHudaa kii san’ato.n kaa har taraf diidaar hotaa hai
manaazir kar rahe hai.n ra.ng-e-qudrat ko 'ayaa.n be-shak
KHudaa kii shaan se aksar khile hai.n phuul sahraa me.n
ba-hukm-e-rab bayaabaa.n me.n hu.e dariyaa ravaa.n be-shak
jidhar dekho nazar aa.e KHudaa kaa jalva-e-aqdas
usii ke nuur se pur-nuur hai.n kaun-o-makaa.n be-shak
KHudaa-e-lam-yazal kii shaan 'azmat yaa buzurgii ko
bayaa.n kar hii nahii.n saktii 'Gazaalii' kii zabaa.n be-shak

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.