vasf kyaa likhe ko.ii us mabat-e-anvaar kaa

mehr-o-mah me.n jalva hai jis chaa.nd se ruKHsaar kaa
'arsh-e-a'azam par phareraa hai shah-e-abraar kaa
bajtaa hai kaunain me.n Da.nkaa mire sarkaar kaa
do jahaa.n me.n baTtaa hai baa.Daa usii sarkaar kaa
dono.n 'aalam paate hai.n sadqa usii darbaar kaa
jaarii hai aaTho.n pahr la.ngar saKHii darbaar kaa
faiz par har dam hai dariyaa ahmad-e-muKHtaar kaa
rauza-e-vaalaa-e-taiba makHzan-e-anvaar hai
kyaa kahuu.n 'aalam me.n tujh se jalva-gaah-e-yaar kaa
dil hai kis kaa jaan kis kii sab ke maalik hai.n vahii
dono.n 'aalam par hai qabza ahmad-e-muKHtaar kaa
kyaa kare sone kaa kushta kushta-e-tiir-e-'ishq kaa
diid kaa pyaasaa kare kyaa sharbat-e-diinaar kaa
faq ho chehra mehr-o-mah kaa aise mu.nh ke saamne
jis ko qismat se mile bosa tirii paizaar kaa
laat maarii tum ne duniyaa par agar tum chaahte
silsila sone kaa hotaa silsila kohsaar kaa
mai.n tirii rahmat ke qurbaa.n ai mire amn-o-amaa.n
ko.ii bhii pursaa.n nahii.n hai mujh se bad-kirdaar kaa
hai.n ma'aasii had se baahar phir bhii zaahid Gam nahii.n
rahmat-e-'aalam kii ummat banda huu.n Gaffaar kaa
tuu hai rahmat baab-e-rahmat teraa darvaaza hu.aa
saayaa-e-fazl-e-kHudaa saaya terii diivaar kaa
kaa’ba-o-aqsaa-o-’arsh-e-kHuld hai.n 'nuurii' magar
hai niraalaa sab se 'aalam jalva-gaah-e-yaar kaa

- Book : Samaan-e-Bakhshish (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.