dil me.n bharaa hu.aa hai josh-e-valaa-e-vaaris

ko.ii makii.n nahii.n hai is kaa sivaa.e vaaris
kyaa jaane kyaa kahaa thaa kyaa jaane kyaa sunaa thaa
kaano.n me.n aa rahii hai ab tak sadaa-e-vaaris
dekhuu.n to kis ko dekhuu.n chaahuu.n to kis ko chaahuu.n
aa.nkhe.n hai.n mahv-e-vaaris dil mutalaa-e-vaaris
ye ra.ng zindagii kaa rakhe KHudaa hamesha
dil me.n ho dard-e-vaaris sar me.n havaa.e vaaris
meraa nishaan-e-madfan barbaad ho rahaa hai
is kii bhii kuchh KHabar le ai KHaak-e-paa-e-vaaris
'muztar' kaa ye ta.Dapnaa ba.ad-e-fanaa to kam ho
turbat pe aa ke jam jaa ai naqsh-e-paa-e-vaaris

- Book : Khirman Part-3 (Pg. 20)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.