banda banaa chukii hai ham ko adaa-e-saabir
Interesting Fact
منقبت در شان صابر پاک شیخ علاؤالدین علی احمد صابر (رورکی-اتراکھنڈ)
banda banaa chukii hai ham ko adaa-e-saabir
jaan hai nisaar-e-saabir dil hai fida-e-saabir
dekhii jo qudsiyo.n ne shaan-e-adaa-e-saabir
be-iKHtiyaar bole ham hai.n fidaa-e-saabir
jalva samaa gayaa hai murshid kaa tan-badan me.n
aa.nkho.n me.n nuur saabir dil me.n ziyaa-e-saabir
chaahe gadaa banaa de chaahe amiir kar de
raazii hai.n ham usii me.n jo hai razaa-e-saabir
'muztar' mirii nazar me.n shaaho.n kii kyaa haqiiqat
allaah ne kahaa hai mujh ko gadaa-e-saabir

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.