Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

naam ke naqsh se raushan ye nagiina ho jaa.e

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    naam ke naqsh se raushan ye nagiina ho jaa.e

    ka.aba-e-dil mire allaah madiina ho jaa.e

    vo chamak dard kii ho dil me.n ki bijlii chamke

    daaman-e-tuur miraa aaj ye siina ho jaa.e

    tuu jo chaahe are o mujh ko bachaane vaale

    mauj-e-tuufaan-e-balaa uTh ke safiina ho jaa.e

    us kii taqdiir jo paamaal ho tere dar par

    us kii taqdiir ki jo KHaak-e-madiina ho jaa.e

    zulmat-e-kufr se ba.Dh kar hai syaahii dil kii

    duur kyuu.n kar dil-e-aGyaar se kiina ho jaa.e

    dil rahe haath me.n tere mere pahluu ke evaz

    chaahtaa huu.n mirii KHaatam kaa nagiina ho jaa.e

    dafn ho.n saath mere mere guhar-haa-e-suKHan

    KHaak me.n mil ke numaayaa.n ye dafiina ho jaa.e

    jaan kii tarah tamannaa hai yahii dil me.n 'riyaaz'

    maruu.n ka.abe me.n to mu.nh suu-e-madiina ho jaa.e

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 161)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now