na.at kahne ko madiine kii fazaa ho aamiin

aur is fazl pe dil jhuum rahaa ho aamiin
banda-e-'ishq na mushkil me.n ghiraa ho aamiin
aur ghir jaa.e to tuu 'uqda-kushaa ho aamiin
be-hijaabaana jinhe.n dekhne kii taab nahii.n
kaif-e-diidaar bhii ik un kii adaa ho aamiin
farhat-e-'ishq mile jis se sar-e-shaam alam
ham-nashii.n aap ke kuuche kii hu.aa ho aamiin
kah ga.e na.at jo aslaaf vahii kahtaa huu.n
fikr-e-farsuuda kaa andaaz nayaa ho aamiin
ahl-e-bait un ke qiyaamat me.n mujhe apnaa kahe.n
pesh-e-sarkaar ye e.azaaz 'ataa ho aamiin
'ishq-e-sarkaar se KHaalii zahe qismat apnaa
dil na thaa aur na hai aur kabhii naa ho aamiin
kah rahe hai.n 'fariidii' mire ahbaab-e-suKHan
fariidiyat aap ke shero.n me.n sadaa ho aamiin

- Book : Takheelaat (Pg. 192)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.