na.at
qadam aap kaa jabki aayaa nahii.n thaa
to duniyaa me.n bhii ye ujaalaa nahii.n thaa
buto.n se kiyaa paak hazrat ne aa kar
vo but-KHaana pahle thaa ka.aba nahii.n thaa
vo thaa nuur hii nuur raushan jahaa.n me.n
qad-e-paak kaa jis se saayaa nahii.n thaa
kahaa ye farishto.n ne me.araaj kii shab
ko.ii aisaa insaan dekhaa nahii.n thaa
lagaanaa thaa to tujh ko ahmad se 'sanjar'
buto.n se tujhe dil lagaanaa nahii.n thaa

- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 5)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.