ai dil-e-zaar itnaa na be-chain ho mai.n nai maanaa ki furqat gavaara nahii.n

Nafees Faridi
MORE BYNafees Faridi
ai dil-e-zaar itnaa na be-chain ho mai.n nai maanaa ki furqat gavaara nahii.n
qasd-e-manzil to kar suu-e-bat.haa to chal des ko.ii madiine se pyaaraa nahii.n
din hai taariik aur raat zulmat-kada
aap hii ke karam kaa talab-gaar huu.n meraa duniyaa me.n ko.ii sahaaraa nahii.n
mujh pe lillaah ab to karam kiijiye meraa furqat me.n kyaa haal hai dekhiye
apne rauze pe aaqaa bulaa liijiye ab to is ke sivaa ko.ii chaara nahii.n
ai sabaa jaa ke kahnaa adab se zaraa ro ke kahtaa thaa ye ek Gulaam aap kaa
mujh ko har ranj-e-duniyaa gavaaraa hu.aa lekin aaqaa se duurii gavaaraa nahii.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.