aatii hai shahaadat dar-o-diivaar-e-harm se

ham saahib-e-aqdaar hu.e tere hii dam se
tuu bint-e-mohammad hii nahii.n lahmak-e-lahmii
lipTaa hu.aa islaam hai zahraa ke qadam se
shabbiir ne aavaaz jo dii hur ne kahaa ye
jaa.n apnii bhii de duu.n yahii achchhaa hai qasam se
hai bint-e-mohammad kii saKHaavat kaa ye a.alam
maayuus nahii.n lauTaa ko.ii baab-e-karam se
nisbat ne kiyaa aap kii har shai se begaana
dar aap kaa KHush-tar hai mujhe baaG-e-iram se
vo faatima zahraa jinhe.n nisbat hai alii se
ye hukm-e-KHudaa hai jo muqaddar thaa adam se
hai kufar kii zulmat me.n teraa zikr-e-tajallii
anvaar baraste hai.n tire naqsh-e-qadam se
zahraa kaa ajab haal thaa sarkaar ke Gam me.n
KHuu.n girte hai.n qirtaas pe likhtaa huu.n qalam se
kah duu.ngaa 'nasar' faatima hai.n markaz-e-ulfat
puuchhegaa KHudaa hashr kii saKHtii me.n jo ham se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.