tujh se fariyaad hai ye gumbad-e-kHazraa vaale

ta.ng karte hai.n Gulaamo.n ko ye duniyaa vaale
saKHt haajat hai Gulaamo.n ko masiihaa.ii kii
haa.n zaraa ek nazar naazish-e-iishaa.n vaale
aa bachaa le mujhe is qabr kii taariikii se
zulf-e-KHamdaar kaa sadqa shab-e-asraa vaale
hashr me.n banda-e-mualaa kii talab yuu.n hogii
yaad karte hai.n tujhe der se bat.haa vaale
baKHsh degaa unhe.n allaah baGair-e-pursish
jab pukaare.nge gunahgaar ye maulaa vaale
raham kar rahmat-e-'aalam kii qasam hai tujh ko
ai mohammad ke KHudaa 'arsh-e-mu'allaa vaale
aa ke qadmo.n se lipaT jaa.e ‘nasiir’-e-'aasii
ai rasuul-e-'arabii faatima zahraa vaale

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.