Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

yahaa.n mohammad vahaa.n mohammad idhar mohammad udhar mohammad

Naseer Seraji

jahaa.n bhii dekhaa nigaah-e-dil ne vahii.n pe aa.e nazar mohammad

agar mohabbat se kar de.n apnii nigaah-e-mo.ajiz asar mohammad

KHizaa.n ko ra.ng-e-bahaar de de.n KHazaf ko kar de.n guhar mohammad

bashar yaqiinan hai.n lekin aise hai.n aa.alii-mansab bashar mohammad

zamiin par hai.n aur aasmaa.n kii sunaa rahe hai.n KHabar mohammad

adab se palke.n bichhaa rahii thii.n tamaam raste me.n kahkashaa.e.n

fizaa-e-mirrikH-o-mushtarii me.n hu.e jo garm-e-safar mohammad

na un se poshiida ahd-e-maazii na duur mustaqbil un se pinhaa.n

kha.De hai.n nigraan-e-vaqt ban kar fasiil-e-ayyaam par mohammad

jo dar pai qatl the musalsal unhe.n bhii jaa.n kii amaan baKHshii

lahuu ke piyaase hariif par bhii hai.n mehrbaa.n kis qadr mohammad

mere ye be-ra.ng-o-nuur misre haqiiqatan kuchh nahii.n hai.n lekin

bane.n yahi zindagii kii puu.njii qubuul kar le.n agar mohammad

Dubo de.n angusht-e-paak apnii to kar de.n paanii ko aab-e-kausar

qadam se KHaak zamii.n ko chhuukar banaa de.n iksiir asar mohammad

ko.ii bhii mausam ho shaaKH-e-lab se du.aa.o.n ke phuul jha.D rahe hai.n

kariim hai.n kis qadr mohammad rahiim hai.n kis qadr mohammad

daruud-o-kalima zabaan par ho.n sukuun kii kaifiyat ho dil me.n

Daraa.e jab jaa.nkanii kii saa.at ho.n mere payash-e-nazar mohammad

kisii zamaane ke bekaso.n par kabhii na hijrat kii raah khultii

dair-e-makka se suu-e-yasrib agar na karte safar mohammad

jidhar se hotaa guzar nabii kaa tamaam rasta mahakne lagtaa

usii se as.haab jaan jaate ga.e hai.n aaKHir kidhar mohammad

ummiid kyaa ye yaqii.n hai mujh ko ke hashr ke din na hogii KHvaarii

na jaa.e.nge jannat-barii.n me.n 'nasiir' ko chho.D kar mohammad

malaa.ika jin ke dar pe aakar salaamiyo.n ke bikhere.n gauhar

KHudaa bhii jin par daruud bheje hai.n vo misaalii bashar mohammad

har ik zamaane me.n rahnumaa.ii karegii raushan hayaat jis kii

'nasiir' taariiKH-e-vaqt me.n hai.n vo munfarid raahbar mohammad

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now