zamzam-e-ishq se dho dho ke nikhaare alfaaz

mai.n ne tab na.at kii taKHtii pe utaare alfaaz
jin kii jumbish se bane nuur ke dhaare alfaaz
un labo.n se hai.n ma.anuun mere saare alfaaz
Daal duu.ngaa sar-e-miizaan ye naa'to.n kii bayaaz
puuraa kar de.nge mere saare KHasaare alfaaz
aaj bhii kahte hai.n aaqaa ke muqaddas kHutbaat
mo.D dete hai.n yam ziist ke dhaare alfaaz
jab jale vaadii zulmat me.n daruudo.n ke charaaG
nasb karne lage kirno.n ke manaare alfaaz
yaa nabii un ko bhii de diijiye e.azaaz qubuul
aaj phir laa.e hai.n kuchh taaza shumaare alfaaz
muztarib kyuu.n hai talaatum se
terii kashtii ko lagaa de.nge kinaare alfaaz
na.at sarkaar kii likhte rahuu.n inshaa-allaah
tole jaa.e.nge bahishto.n se tumhaare alfaaz
nazr mid.hat mirii darbaar nabii tak pahu.nchii
jannat nuur ke karte hai.n nazaare alfaaz
dast-e-jibriil ne jab kHaama-e-midhat thaamaa
daaman-e-charKH banaa lauh sitaare alfaaz
va.az farmaate hai.n mimbar pe rasuul-e-ummii
lene aa.e hai.n tamaddun ke idaare alfaaz
raa.igaanii kaa ko.ii KHauf nahii.n hai mujh ko
paa ga.e aap ke mazbuut sahaare alfaaz
jab bhii darbaar-e-mohammad se bulaavaa aa.e
saath le lenaa mujhe bhii mere pyaare alfaaz
un kii KHidmat me.n karuu.n arz-e-tamannaa kaise
lab pe aate hii nahii.n KHauf ke maare alfaaz
un ko taasiir kii KHairaat ataa ho sarkaar
aastaa.n par hai.n kha.De haath pasaare alfaaz
mere harfo.n ne 'nasiir' aaKHirii manzil paalii
dil ne jab un kii samaa.at se guzaare alfaaz

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.