dil kii duniyaa me.n hai raushnii aap se
dil kii duniyaa me.n hai raushnii aap se
ham ne paa.ii na.ii zindagii aap se
kyuu.n na naazaa.n ho.n apne muqaddar pe ham
ham ko iimaa.n kii daulat milii aap se
kal bhii maa'muur thaa aap ke nuur se
hai munavvar jahaa.n aaj bhii aap se
dushmano.n par bhii dar rahmato.n kaa khulaa
raah-o-rasm-e-mohabbat challii aap se
dil kaa Guncha chaTaktaa hai salle-’alaa
apne gulshan me.n hai taazgii aap se
sab jahaano.n kii rahmat kahaa aap ko
kitnaa KHush hai KHudaa yaa-nabii aap se
KHatm hai aap par shaan-e-paiGambarii
ye rivaayat mukammal hu.ii aap se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.