Sufinama

shu'uur-o-ilm kaa ik aaftaab haidar hai.n

Nasir Maneri

shu'uur-o-ilm kaa ik aaftaab haidar hai.n

Nasir Maneri

MORE BYNasir Maneri

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت مولیٰ علی ( کوفہ۔عراق)

    shu'uur-o-ilm kaa ik aaftaab haidar hai.n

    nuquush-e-fikr kaa ik maahtaab haidar hai.n

    hadiis aur kalaam-e-majiid kii tashriih

    jahaan-e-ilm kaa pur-nuur-baab haidar hai.n

    mai.n ilm kaa huu.n shahar aur alii hai.n darvaaza

    muraad-e-qaul-e-risaalat-ma.aab haidar hai.n

    karegaa kyaa ko.ii andaazaa un ke baazuu kaa

    ukhaa.D phe.nke jo KHaibar kaa baab haidar hai.n

    pachhaa.D detaa hai marhab saa pahlvaa.n ko bhii jo

    KHudaa kaa sher vahii buu-turaab haidar hai.n

    mujhe nahii.n hai zamaane kaa Gam ke mere liye

    jo mushkilo.n ko hai Taale janaab-e-haidar hai.n

    karam kare.nge ai 'naasir' manrerii tujh pe bhii

    saKHaa ke paikar-o-izzat-ma.aab haidar hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now