ik nazar vo jidhar ho ga.ii
ik nazar vo jidhar ho ga.ii
har nazar phir udhar ho ga.ii
sab ko us kii KHabar ho ga.ii
mustafaa kii nazar ho ga.ii
yaa nabii yaa nabii lab pe hai
ab zabaa.n baa-asar ho ga.ii
naam-e-ahmad liyaa jis gha.Dii
pur-ziyaa rahguzar ho ga.ii
fikr-e-manzil nahii.n aap kii
yaad jab ham-safar ho ga.ii
jab se muKHtaar ko sau.np dii
zindagii be-KHatar ho ga.ii
dekh luu.n un kaa jalva 'nisaar'
naa't jis par asar ho ga.ii
ik nazar vo jidhar ho ga.ii
har nazar phir udhar ho ga.ii
sab ko us kii KHabar ho ga.ii
mustafaa kii nazar ho ga.ii
yaa nabii yaa nabii lab pe hai
ab zabaa.n baa-asar ho ga.ii
naam-e-ahmad liyaa jis gha.Dii
pur-ziyaa rahguzar ho ga.ii
fikr-e-manzil nahii.n aap kii
yaad jab ham-safar ho ga.ii
jab se muKHtaar ko sau.np dii
zindagii be-KHatar ho ga.ii
dekh luu.n un kaa jalva 'nisaar'
naa't jis par asar ho ga.ii
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 142)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.