nuurii mahfil pe chaadar tanii nuur kii nuur phailaa hu.aa aaj kii raat hai

Saem Chishti
MORE BYSaem Chishti
nuurii mahfil pe chaadar tanii nuur kii nuur phailaa hu.aa aaj kii raat hai
chaa.ndnii me.n hai.n Duube hu.e do-jahaa.n kaun jalva-numaa aaj kii raat hai
farsh par dhuum hai 'arsh par dhuum hai bad-nasiibii hai us kii jo mahrūm hai
phir milegii ye shab kis ko ma'aluum hai 'aam lutf-e-KHudaa aaj kii raat hai
abr-e-rahmat hai.n mahfil pe chhaa.e hu.e aasmaa.n se malaa.ik hai.n aa.e hu.e
KHud mohammad hai.n tashriif laa.e hu.e kaisii raunaq-fazaa aaj kii raat hai
KHuub hone do ashko.n kii barsaat ko do salaamii mohammad kii baaraat ko
chuum lo chuum lo aaj kii raat ko shab-e-qadr ke gumaa.n aaj kii raat hai
maa.ng lo maa.ng lo chashm-e-tar maa.ng lo dard-e-dil aur husn-e-nazar maa.ng lo
kamlii vaale kii nagrii me.n ghar maa.ng lo maa.ngne kaa mazaa aaj kii raat hai

momino aaj ganj-e-shakHaa luuT lo luuT lo aaj faiz-o-shifaa luuT lo
'aasiyo rahmat-e-mustafaa luuT lo baab-e-rahmat khulaa aaj kii raat hai
vaqt laa.e KHudaa sab madiine chale.n luuTne rahmato.n ke KHaziine chale.n
sab kii manzil kii jaanib safiine chale.n merii 'saa.im' du'aa aaj kii raat hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.