Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ai mere saaya-daar shajar hazrat-e-umr

Noorul Hasan Noor

ai mere saaya-daar shajar hazrat-e-umr

Noorul Hasan Noor

MORE BYNoorul Hasan Noor

    Interesting Fact

    منقبت درشان خلیفۂ دوم حضرت عمر فاروق (مدینہ۔ سعودی عربیہ)

    ai mere saaya-daar shajar hazrat-e-umr

    ghere hai mujh ko dhuup kaa Dar hazrat-e-umr

    detaa nahii.n hai ko.ii KHabar hazrat-e-umr

    gum ho ga.ii hai merii sahar hazrat-e-umr

    har samt khaa.iyaa.n hai.n a.ndhero.n kii aur mai.n

    hairaan huu.n ke jaa.uu.n kidhar hazrat-e-umr

    ai aasmaa.n vaqaar tirii baargaah me.n

    sar KHam ka.e hai.n shams-o-qamar hazrat-e-umar

    naqsh-e-qadam ke phuul ataa kiijiye agar

    ha.nsne lage hamaaraa kha.nDar hazrat-e-umr

    mahsuus ye hu.aa hai sar-e-rahguzaar-e-ziist

    rakhte hai.n mujh pe KHaas nazar hazrat-e-umr

    jo aa.e le ke yaad tumhaarii mere liye

    lamhaat ho ga.e vo amar hazrat-e-umr

    aa.e.nge haadsaat to le kar tumhaaraa naam

    ho jaa.uu.ngaa mai.n siina-sipar hazrat-e-umar

    big.De tamaam kaam sa.nvar jaa.e.nge abhii

    kar de.nge ek ishaara agar hazrat-e-umar

    ai iztiraab hone ko hai teraa KHaatima

    vo dekh aa.gaye mere ghar hazrat umr

    dasht-e-ziyaa.n me.n tum ko pukaaraa jo nuur ne

    ghabraa ga.e hai.n KHauf-o-KHatar hazrat-e-umar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now