Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

maulaa kii rahmato.n kaa KHaziina fariid hai.n

Owais Ahmad Mazhar

MORE BYOwais Ahmad Mazhar

    Interesting Fact

    منقبت درشان گنجِ شکر بابا فریدالدین مسعود (پاک پٹن-پنجاب)

    maulaa kii rahmato.n kaa KHaziina fariid hai.n

    KHvaaja qutub ke dil kaa nagiina fariid hai.n

    jab nabii ke chashme ravaa.n paak hai patan

    mahshar me.n aasiyo.n kaa safiina fariid hai.n

    saabir ho.n yaa nizaam ki ho.n shams yaa fuzail

    sab auliyaa kii jaa.n kaa nagiina fariid hai.n

    hubb-e-rasuul ne unhe.n baKHshaa latiif-e-zauq

    madnii lataafato.n kaa KHaziina fariid hai.n

    asraar-e-kaa.enaat pe un kii nigaah hai

    'irfaan-e-zaat-e-haq kaa bhii ziina fariid hai.n

    jalve hai.n ra.ng-ra.ng haqiiqat hai ek hii

    jalve 'alii ke dil kaa nagiina fariid hai.n

    mai.n ne sunaa thaa hazrat-e-maz.har se ek din

    'irfaan-e-mustafaa kaa KHaziina fariid hai.n

    mahshar kii talkHiyo.n kaa mujhe ko.ii Gam nahii.n

    mai.n huu.n 'ovais' meraa safiina fariid hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now