dar pe sarkaar ke jo ho.nT siye jaate hai.n

aise 'ushshaaq samajhdaar kahe jaate hai.n
naar-e-dozaKH se vahii log bache jaate hai.n
jo bhii naamuus-e-risaalat pe mare jaate hai.n
puuchhnaa hai to ye puuchho kisii 'aashiq se
'ishq me.n dil hii nahii.n sar bhii diye jaate hai.n
dil se sarkaar-e-do-'aalam pe jo pa.Dhte hai.n duruud
aise insaan bilaa-KHauf jiye jaate hai.n
dahr me.n ho.nge pareshaan bhalaa vo kaise
aap kaa naam jo sarkaar liye jaate hai.n
'aib poshii mirii kiije ai shafii'-e-mahshar
hashr ke roz mire jurm khule jaate hai.n
ham ko maa'luum nahii.n kaise talab kii jaa.e
phir bhii sarkaar karam ham pe kiye jaate hai.n
naa't likhne kaa hunar jab se milaa hai ham ko
tab se maddaah-e-nabii ham bhii kahe jaate hai.n
aa.egaa shahr-e-madiina se bulaavaa ik din
usii ummiid pe har Gam ko sahe jaate hai.n
hashr ke roz dikhaa.e.n ge vo chehra kaise
chand paiso.n ke liye jo bhii bike jaate hai.n
pahra dete hai.n jo naamuus-e-risaalat pe sadaa
zinda-dil bas vahii insaan kahe jaate hai.n
kyaa lagaa paa.egaa qiimat ko.ii us kii 'amabar'
jo bhii baazaar-e-mohammad me.n bike jaate hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.