hujra-e-kHairul-varaa me.n jalva-gar siddiiq hai.n
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت ابو بکر صدیق (مدینہ -سعودی عرب)
hujra-e-kHairul-varaa me.n jalva-gar siddiiq hai.n
is se samjhe.n aap kitne mo'atabar siddiiq hai.n
kah rahe hai.n ye zamiin-o-aasmaa.n maah-o-falak
KHalq me.n baa'd-e-rusul afzal bashar siddiiq hai.n
diin kii KHaatir nichhaavar kar diyaa hai ghar kaa ghar
juud me.n dekho to kitne auj par siddiiq hai.n
ummat sarkaar me.n hai.n kaun sab se mo'atabar
hazrat-e-maulaa 'alii 'usmaa.n 'umar siddiiq hai.n
e'timaad aaqaa ko thaa siddiiq par kuchh is tarah
hijrat-e-shah me.n bhii dekho ham-safar siddiiq hai.n
rahte hai.n vo baa'd-e-rehlat bhii shah-e-dii.n ke qariib
dekhiye mahbuub shah ke kis qadar siddiiq hai.n
jab hu.e ruKHsat shahanshaah-e-madiina dahr se
phir sambhaalaa jis ne dii.n ko vo bashar siddiiq hai.n
pyaare aaqaa kii 'ataa se sab ke pyaare ho ga.e
yaa'nii duniyaa me.n bahut hii mo'atabar siddiiq hai.n
kaash ai 'amabar' hame.n ho un kaa sadqa dastiyaab
‘aa.iisha biibii ke jo pyaare pidar siddiiq hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.