kyaa bataa.uu.n kyaa hai un kii shaan taajul-auliyaa

Owais Raza Amber
MORE BYOwais Raza Amber
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت بابا تاج الدین چشتی (ناگپور-مہاراشٹرا)
kyaa bataa.uu.n kyaa hai un kii shaan taajul-auliyaa
ho ga.e jo aap ke darbaan taajul-auliyaa
sirf maal-o-zar nahii.n sultaan taajul-auliyaa
aap par qurbaa.n hai merii jaan taajul-auliyaa
qalb me.n ulfat basaa.ii aap kii ye soch kar
hai mirii baKHshish kaa ye saamaan taajul-auliyaa
raaste par aap ke chaltaa hai jo mere liye
mo'tabar hai bas vahii insaan taajul-auliyaa
shohrate.n tujh ko milii.n duniyaa me.n shahr-e-naagpur
ban ga.e jab se tire mehmaan taajul-auliyaa
ja.ngalo.n ko kis tarah ma.ngal banaayaa aap ne
suukhe baaGo.n ko kiyaa gul-daan taajul-auliyaa
'amabar'-e-KHasta bhii aa.e aap ke darbaar me.n
muddato.n se dil me.n hai armaan taajul-auliyaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.