'ishq-e-nabii ke jaam kaa tamGa liye hu.e

mai.n chal rahaa huu.n amn kaa dariyaa liye hu.e
mujh be-navaa pe chashm-e-'inaayat ho yaa nabii
dar-dar bhaTak rahaa huu.n mai.n sadma liye hu.e
maulaa-e-kaa.inaat se rakhtaa hai jo bhii buGz
phailaataa hai nifaaq vo fitna liye hu.e
gar dekhnaa ho faiz razaa kii ziyaa tujhe
to chal bareilly 'ishq kaa naGma liye hu.e
gar dekhnaa hai dekho buzurgo.n ke dar pe tum
sarvat kha.Dii hai haath me.n kaasa liye hu.e
'amabar' kahaa.n hai ab ko.ii hamdard dahr me.n
har ik kha.Daa hai Gam kaa janaaza liye hu.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.