kausar-o-tasniim hai.n kab har kisii ke vaaste

ye bane sarkaar ke hii ummatii ke vaaste
rabbi-hablii ummatii kii hai sadaa guu.njii hu.ii
hashr me.n ham baKHshe jaa.e.nge nabii ke vaaste
karbalaa kii sarzamii.n se aa rahii hai ye sadaa
qatra qatra KHuun kaa hai bandagii ke vaaste
kHvaaja-e-hindal-valii kaa hukm bhii kyaa hukm thaa
kuuze me.n aayaa anaa saagar tirii ke vaaste
har gha.Dii rab kii 'ibaadat karte rahnaa hai mujhe
mujh ko bhejaa hai KHudaa ne bas isii ke vaaste
kaun kahtaa hai ki paanii ke liye be-chain the
paanii KHud be-chain thaa bin-e-'alii ke vaaste
mahfil-e-miilaad aaqaa tum sajaa.o 'aashiqo
sab se achchhaa hai 'amal ye zindagii ke vaaste
tum sadaa sarkaar kii mad.h-o-sanaa karte raho
aa.e ho 'amabar' jahaa.n me.n bas isii ke vaaste

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.