payaam laa.ii hai baad-e-sabaa madiine se

ki rahmato.n kii uThii hai ghaTaa madiine se
ilaahii ko.ii to mil jaa.e chaaragar aisaa
hamaare dard kii laa de davaa madiine se
hisaab kyaa ki nakiirain ho ga.e be-KHud
jab aa.ii qabr me.n ThanDii havaa madiine se
yahii to KHaana-KHaraabii kaa ik Thikaana hai
chale kahaa.n dil-e-dard-aashnaa madiine se
janaab-e-KHizr ko zulmaat ne diye dhoke
milaa to saaGar-e-aab-e-baqaa madiine se
hamaare saamne ye naazish-e-bahaar fuzuul
bahisht le ke ga.ii hai fazaa madiine se
na aa.e.n jaa ke va.nh se yahii tamannaa hai
madiine laa ke na laa.e KHudaa madiine se
farishte sai.nka.Do.n aate hai.n aur jaate hai.n
bahut qariib hai arsh-e-KHudaa madiine se
isii kaa faiz hai duniyaa me.n ye vo chaukhaT hai
jo kuchh kisii ko milaa vo milaa madiine se
ham us ko marja.a-e-maqsuud-e-ishq kahte hai.n
dil-e-hazii.n kahii.n khoyaa milaa madiine se

- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 115)
- Publication : Fine Book Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.