taajdaar-e-haram ho nigaah-e-karam ham Gariibo.n ke din bhii sa.nvar jaa.e.nge

Payam Saihalwi
MORE BYPayam Saihalwi
taajdaar-e-haram ho nigaah-e-karam ham Gariibo.n ke din bhii sa.nvar jaa.e.nge
haadii-e-be-kasaa.n kyaa kahegaa jahaa.n aap ke dar se KHaalii agar jaa.e.nge
KHauf-e-tuufaa.n kahii.n bijliyo.n kaa hai Gam saKHt mushkil hai aaqaa kahaa.n jaa.e.n ham
aap bhii gar na le.nge hamaarii KHabar ham musiibat ke maare kidhar jaa.e.nge
dar pe saaqii-e-kausar ke piine chalo mai-kasho aa.o-aa.o madiine chalo
yaad rakkho agar uTh ga.ii vo nazar jitne KHaalii hai.n sab jaam bhar jaa.e.nge
ko.ii apnaa nahii.n Gam ke maare hai.n ham aap ke dar pe fariyaad laa.e.n hai.n ham
ho nigaah-e-karam varna chaukhaT pe ham aap kaa naam le-le ke mar jaa.e.nge
aap ke dar se ko.ii na KHaalii gayaa apne daaman ko bhar ke savaalii gayaa
ho ‘payaam’-e-hazii.n par bhii aaqaa karam varna auraaq-e-hastii bikhar jaa.e.nge

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.