dilo.n ke sahaare tuu aa.nkho.n ke taare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت پیر مہر علی (گولڑہ۔پاکستان)
dilo.n ke sahaare tuu aa.nkho.n ke taare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n
KHudaa un ko pyaaraa KHudaa ko vo pyaare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n
muyassar jise ho ga.ii un kii nisbat use mil ga.ii maGfirat kii bashaarat
KHudaa ke valii mustafaa ke dulaare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n
na kyuu.n mai.n ’aqiidat ke jauhar dikhaa.uu.n na kyuu.n jaan-o-dil un pe apne luTaa.uu.n
miraa har nafas kyuu.n na un ko pukaare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n
tajallii ne un ko dikhaa.ii.n vo raahe.n ki haq-aashnaa ho ga.ii hai.n nigaahe.n
shab-o-roz hote hai.n mujh ko nazaare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n
'alii un kaa maulaa hasan un kaa jadd hai nahii.n hai vo daanaa jise in se kad hai
rasuul-e-KHudaa Gaus-e-aa'zam ke pyaare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n
nikal jaa.e.nge saare qismat ke chakkar na maujo.n kaa KHatra na tuufaan kaa Dar
mirii naav KHud jaa lagegii kinaare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n
unhii.n kaa tasavvur miraa rahnumaa thaa har ik gaam par un kaa hii aasraa thaa
hamesha rahe mere vaare nyaare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n
kisii aur ke kis liye dar pe jaa.uu.n kisii aur ko kyuu.n mai.n apnaa banaa.uu.n
ba-har kaar marde ba-har mard kaare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n
kahaa.n tak 'inaayat ke qisse sunaa.uu.n 'nasiir' un ke altaaf kyuu.n kar ginaauu.n
har ik saa.ns letaa huu.n un ke sahaare mire peshvaa piir mehr-e-’alii hai.n

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 374)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.