kaun ho masnad-nashii.n KHaak-e-madiina chho.D kar

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
kaun ho masnad-nashii.n KHaak-e-madiina chho.D kar
KHuld dekhe kaun kuu-e-shaah-e-bathaa chho.D kar
dil kii bastii aur armaano.n kii duniyaa chho.D kar
haaye kyuu.n lauTe the ham shahr-e-madiina chho.D kar
ghar se pahu.nche un ke rauze par to ham ko yuu.n lagaa
jaise aa nikle ko.ii gulshan me.n sahraa chho.D kar
allaah-allaah aamad-e-sultaan-e-ins-o-jaa.n kii shaan
ik taraf qudsii bhii ho jaate the rasta chho.D kar
mustafaa jannat me.n jaa.e.nge na ummat ke baGair
jaa nahii.n saktaa kabhii tinko.n ko dariyaa chho.D kar
rah-ravaan-e-raah-e-haq the aur bhii laakho.n magar
ko.ii manzil par na pahu.nchaa ibn-e-zahraa chho.D kar
un sahaaba ke us andaaz-e-qanaa’at par salaam
un kii chaukhaT par jo aa baiThe the kyaa kyaa chho.D kar
vo azal se mere aaqaa mai.n Gulaam ibn-e-Gulaam
kyuu.n kisii ke dar pe jaa.uu.n un kaa sadqa chho.D kar
mai.n kahaa.n ghuumuu.n kahaa.n Thahruu.n kise dekhaa karuu.n
un kii galiyaa.n un kii jaalii un kaa rauza chho.D kar
puuchhne phir kaun aa.egaa 'nasiir' un ke sivaa
jis lahad me.n tujh ko sab lauTe.nge tanhaa chho.D kar

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.