sa.nvar jaa.egii sab kii ’aaqibat sab kaa bhalaa hogaa

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
sa.nvar jaa.egii sab kii ’aaqibat sab kaa bhalaa hogaa
qiyaamat me.n mohammad mustafaa kaa aasraa hogaa
’adaalat se nabii kii jis ko parvaana 'ataa hogaa
vahii bas mustahiqq-e-rahmat-e-rabbul-’ulaa hogaa
pukaare.nge shafii.a-ul-muznabii.n ko sab qiyaamat me.n
vahaa.n par sab kaa na.ara yaa-mohammad mustafaa hogaa
hamaarii KHaak ke zarre bhii pahu.nche.nge vahaa.n u.D kar
madiine kii talab hogii madiina mudda.aa hogaa
nabii kaa dar hai aur aqsaay-e-’aalam kii jabii.n-saa.ii
ye manzar chashm-e-qudrat se KHudaa KHud dekhtaa hogaa
jo un ke aastaan-e-paak par sar apnaa KHam kar de
vo qismat kaa dhanii hogaa sikandar vaqt kaa hogaa
abhii zauq-e-junuu.n soz-e-daruu.n baKHshaa hai hazrat ne
'nasiir' un kii mohabbat me.n na jaane aur kyaa hogaa

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.