mai.n huu.n nabii kaa diivaana
mai.n huu.n nabii kaa diivaana
kis ne hai mujh ko pahchaanaa
kah do jahaa.n se na mujh se Takraanaa
mai.n huu.n nabii kaa diivaana
pyaare nabii kaa mujh pe karam hai
ye na samajhnā duniyaa kaa Gam hai
haath lagaa hai mere KHaziina
aa.nkh mai.n kaa'ba dil me.n madiina
il-lallaah kaa pii ke mai.n saaGar
vird karuu.ngaa allaahu-akbar
naam-e-nabii hai lab pe jaarii
vajd kaa 'aalam dil par taarii
dekho na merii KHasta-haalii
dil me.n hai mere hubb-e-bilaalii
muflis huu.n par dil kaa Ganii huu.n
haa.n haa.n mai.n qismat kaa dhanii huu.n
lab pe mere rahtaa hai har dam
sallallaahu 'alaih vasallim
mai.n huu.n nabii kaa diivaana
kis ne hai mujh ko pahchaanaa
kah do jahaa.n se na mujh se Takraanaa
mai.n huu.n nabii kaa diivaana
pyaare nabii kaa mujh pe karam hai
ye na samajhnā duniyaa kaa Gam hai
haath lagaa hai mere KHaziina
aa.nkh mai.n kaa'ba dil me.n madiina
il-lallaah kaa pii ke mai.n saaGar
vird karuu.ngaa allaahu-akbar
naam-e-nabii hai lab pe jaarii
vajd kaa 'aalam dil par taarii
dekho na merii KHasta-haalii
dil me.n hai mere hubb-e-bilaalii
muflis huu.n par dil kaa Ganii huu.n
haa.n haa.n mai.n qismat kaa dhanii huu.n
lab pe mere rahtaa hai har dam
sallallaahu 'alaih vasallim
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.