Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye insaa.n jin ke faizaan-e-karam se aaj insaa.n hai

Qasimul Haque Gayavi

MORE BYQasimul Haque Gayavi

    ye insaa.n jin ke faizaan-e-karam se aaj insaa.n hai

    unhii.n kii midhat-o-tausiif meraa diin-o-iimaa.n hai

    ye duniyaa ye zamiin-o-aasmaa.n ye chaa.nd ye taare

    Garaz ye zarra zarra aap kaa mamnuun-e-ehsaa.n hai

    vo rutba aap ne paayaa ki ham-rutba nahii.n ko.ii

    jo bartar aap se hai vo faqat ik zaat-e-yazdaa.n hai

    zabaan-e-KHalq hai maddaah vasf-e-rahmat-e-'aalam

    sanaa-KHvaa.n aap kaa vo bhii hai jo mahruum-e-iimaa.n hai

    hayaat-e-paak kaa aisaa namuuna aap ne dekhaa

    jo mahshar tak baraa.e-ittibaa'-e-jinn-o-insaa.n hai

    zahe qismat jise vaabastagii hai un ke daaman se

    ki vaj.h-e-sarfaraazii-e-do-’aalam un kaa daamaa.n hai

    zabaan-e-hazrat-e-hassaan bin-saabit KHudaayaa de

    yahii apnii tamannaa hai yahii ik dil me.n armaa.n hai

    'qasiim' aasaa.n nahii.n na.at-e-rasuul-e-paak kah lenaa

    use aasaan jo samjhe samajhtaa huu.n vo naadaa.n hai

    sanaa-KHvaanii ‘qasiim-e-be-navaa kyaa kar sake un kii

    kHudaa.e-qaadir-o-qayyuum jin kaa KHud sanaa-KHvaa.n hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now