zarra-zarra ban gayaa mai-kHaana-e-shaah-e-rusul

vus'at-e-kaunain hai paimaana-e-shaah-e-rusul
hai.n kahaa.n jur'a-kash mai-kHaana-e-shaah-e-rusul
ba.Dh ke haatho.n haath le.n paimaan-e-shaah-e-rusul
qalb-o-jaa.n iimaa.n-o-dii.n hosh-o-KHirad jaah-o-hasham
ho chuke hai.n sab ke sab nazraana-e-shaah-e-rusul
jab zabaa.n par aa gayaa naam-e-razaa hii aa ga.e
is qadar hoshiyaar hai diivaa-e-shaah-e-rusul
KHaarzaar-e-'ishq ke kaa.nTe bhii ho jaa.e.nge phuul
gul khilaane aa gayaa diivaana-e-shaah-e-rusul
mil ga.ii be-shak use daulat jahaa.n kii mil ga.ii
mil gayaa jis ko dar-e-kaashaan-e-shaah-e-rusul
qudsiyo.n ko bhii taamul hai samajhne ke liye
aasmaan-e-kHuld hai yaa kaashaana-e-shaah-e-rusul
bhii.D jab dekhii dar-e-jannat pe dhokaa ho gayaa
ham ye samjhe hai ye mehmaa.n kHaana-e-shaah-e-rusul
ab rahe dard-e-mohabbat hazrat-e-'qaatil' kahaa.n
dil azal se ho gayaa nazraana-e-shaah-e-rusul

- Book : Diwan-e-Qatil (Pg. 257)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.