Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

qibla-e-ahl-e-safaa maalik-o-muKHtaar alii

Yadgar Shah Warsi

MORE BYYadgar Shah Warsi

    qibla-e-ahl-e-safaa maalik-o-muKHtaar alii

    ai zahe salle-alaa naa.eb-e-sarkaar alii

    qaabil-e-madh-o-sanaa hai tiraa ghar-baar alii

    terii sarkaar alii hai teraa darbaar alii

    kul kaa maulaa hai ba-farmaan-e-nabii hukm-e-KHudaa

    hai tirii shaan judaa haidar-e-karraar alii

    saaraa a.alam hai teraa dast-nigar dast-e-KHudaa

    saaraa a.alam hai tiraa hii tuu namak-KHvaar alii

    hai tujhe hamd ke haamid hai KHudaavand teraa

    vaasif-e-jall-o-'alaa vaaqif-e-asraar alii

    qaabil-e-salle-alaa zikr mubaarak hai teraa

    ai KHushaa jaan-o-dil ahmad-e-muKHtaar alii

    ziinat-e-bait-e-alii sayyada zahraa jo hu.ii.n

    lahmuka lahmii ke huu.n kyuu.n na sazaa-vaar alii

    faKHr-e-daarain ye hasnain tire maah-e-mubii.n

    hai.n javaanaan-e-bahishtii ke jo sardaar alii

    kis ko maqduur bhalaa rutaba-e-ziishaan teraa

    kis ne jaanaa tujhe juz-kHaaliq-o-sarkaar alii

    ruKH se parda jo uThe paa.uu.n ibaadat kaa savaab

    mai.n bhii huu.n aap kaa ik taalib-e-diidaar alii

    yaad ne aap kii baKHshaa hai mujhe aisaa sharaf

    ho gayaa naam zamaane me.n yaadgaar alii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now