’azmat hai do-jahaa.n me.n ’ayaa.n Gaus-e-paak kii
Interesting Fact
منقبت درشان غوثِ پاک شیخ عبدالقارد جیلانی (بغداد-عراق)
'azmat hai do-jahaa.n me.n 'ayaa.n Gaus-e-paak kii
karte valii hai.n shaan bayaa.n Gaus-e-paak kii
hasanii chaman ke phol hai baabaa-e-Gaus-e-paak
shabbiir kii dulaarii hai maa.n Gaus-e-paak kii
karte karam vo sab pe hai.n apne yaa Gair ho
kyaa shakHsiyaat hai.n faiz-rasaa.n Gaus-e-paak kii
mai.n ne jahaa.n kahii.n bhii kahaa yaa Gaus al-madad
mujh ko madad milii hai vahaa.n Gaus-e-paak kii
duniyaa-o-aaKHirat me.n nahii.n KHauf kuchh use
jis ko bhii mil ga.ii hai amaa.n Gaus-e-paak kii
jo maa.ngnaa hai maa.ng le nashtarak dar se tuu
mahfil sajii hai aaj yahaa.n Gaus-e-paak kii
murde jilaa rahe hai.n to Duube tairaa rahe
qismat badal rahii hai zabaa.n Gaus-e-paak kii
darvesh par karam ye to ashraf kaa hai miyaa.n
adnaa se kyaa ho shaan bayaa.n Gaus-e-paak kii
darvesh ko 'ataa ho ilaahii vahaa.n zamii.n
turbat banii hu.ii hai jahaa.n Gaus-e-paak kii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.