na taKHt-o-taaj kii KHvaahish na daulat par nazar rakho

Rais Ahmad Numani
MORE BYRais Ahmad Numani
na taKHt-o-taaj kii KHvaahish na daulat par nazar rakho
nazar ke saamne bas usva-e-kHair-ul-bashar rakhau
yahii me.araaj hai insaaniyat kii raaz hastii me.n
rasuul-e-paak ke naqsh-e-qadam pesh-e-nazar rakho
sar-e-mahshar yahii bas sarfaraazii kii zamaanat hai
Gulaamii se shah bat.haa kii KHud ko muftaKHar rakho
kisii bhii kHitta-e-arzii pe haasil ho tumhe.n maskan
ta.alluq apnaa un se ustavaar-o-mo'tabar rakho
zamaana tum ko raah-e-raast se bhaTkaa nahii.n saktaa
amal ahkaam-e-qur.aarnii pe tum apnaa agar rakho
abuu-bakr-o-'omr-o-usmaan-o-haidar dost the chaaro.n
saliiqa dosto.n kaa dosto pesh-e-nazar rakho
milii tahziib duniyaa ko hamaare hii buzurgo.n se
’aziizo is haqiiqat se bhii KHud ko baa-KHabar rakho
'ra.iis' allaah ne tum ko diyaa hai dii.n bhii daanish bhii
qadam jis raah par bhii apnaa rakho soch kar rakho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.