Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

rahmato.n par hai nazar harf-e-du’aa kaif me.n hai

Ramzan Haidar Firdausi

MORE BYRamzan Haidar Firdausi

    rahmato.n par hai nazar harf-e-du’aa kaif me.n hai

    bikhre anvaar tavakkul hai.n razaa kaif me.n hai

    dekh ke anfus-o-aafaaq me.n qudrat kii bahaar

    jazba-e-hamd javaa.n shauq-e-sanaa kaif me.n hai

    yaa ’ibaadii jo sunaa kHaaliq-e-do-'aalam se

    hasr-e-Gam to.D ke ab merii KHataa kaif me.n hai

    jalva-e-haq mujhe bhii raakh banaa misl-e-tuur

    hogii harakat na zaraa shauq-e-liqaa kaif me.n hai

    apnaa mahbuub diyaa sab se ba.Daa fazl teraa

    is ataa ko kahuu.n kyaa zehn-e-rasaa kaif me.n hai

    tere pyaaro.n ke qadam-haa-e-mubaarak chhuu kar

    taiba baGdaad-o-najaf karb-o-balaa kaif me.n hai

    be-sabab baKHsh de maulaa jise chaahe 'haidar'

    bas yahii soch ke mujh jaisaa gadaa kaif me.n hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now